Ul-Jalal-e-Wal-Ikram(Azmat aur Buzurgi Wala):-Agar koi muhim darpaish ho tou baad Nimaz-e-Isha 100 bar Ul-Jalal-e-Wal-Ikram parh lein har mushkil assan ho ge-
Ya-Muqsit(Insaf krne wala):- Dil mi sheetani waswsy paida hoty hon tou Ya-Muqsit baad Nimaz-e-Asar rozana 100 bar parh lein dil roshan ho ga aur har maqsad hasil ho ga-
Ya-Jaamay(Jammah krne wala):-Jo shakhs Ya-Jaamay ka wazeefa hamesha parta rhe ga Allah Tala is ko achay dost ahbab ata farmaye ga-
Ya-Ghani(Beparwa):- Agar koi shakhs kisi museebat ya bala mi girftar ho jai ya marz mi mubtila ho jai tou Ya-Ghani 70 bar parh kr hatoon par dam kray aur tamam badan ka massah kr le-
Ya-Mughni(Be parwa krne wala):-Ya-Mughni muslsal paraha jaye tou makhlooq se be nizai hasil ho ge,agar subh sham 100,100 martaba parhin tou Zahir-o-Batin ki dolat hasil ho ge-
No comments:
Post a Comment