Friday, 14 October 2011

Nimaz-e-Istikhara

Nimaz Istikhara parhne ka sahi tareeqa-


Nimaz-e-Istikhara:-

Hadis sahi jis ko muslim k siva tamam Mohandseen ne Hazrat Jabir bin Abdullah (R.A) se rawait kia,farmaty hain k Rasool Allah(PBUH) hum ko tamam mamlaat mi Istikhara ki taleem farmaty jis tarah Quran ki Surat taleem farmaty thay, farmaya koi kisi amar ka qasad kry tou 2 rakat Nafil parhay phir Dua-e-Istikhara parhay, Mustahib yeh hay k is dua k awal aur akhir Darood Shareef parhay,Aik hadis mi hai k aye Anis! jab tu kisi kam ka qasad karay tou apne Rab se is mi 7 bar Istikhara kr phir nazar kr tere dil mi kia guzra, beshak is mi khair hai, baz musahikh se manqool hay k dua mazkor parh kr ba taharat Qibla roo so jai agar khawab mi safyeedi ya sabbzi (haryali) dikhai dy tou wo kam behtir hay agar sihai ya surkhai dikhai dy tou wo kam bura hy is se bachay jab tak aik taraf pukhta rai na ho Istikhara krta rhe,

No comments:

Post a Comment