Friday, 27 September 2013

Surh Yaseen k fazail

Jo shakhs Khuda ki khushnodi k liye Surh Yaseen parhay tou Khudai Thala isee 12 Khatam Quran ka sawab ata farmaye ga- Jab yeh surat kisi mareez k pass parhi jai tou is k har harf k badlay 10 firshtay is k samny saf basta ho kr is k liye magfirt talb krty hain-Iss k qabz-e-rooh k waqt hazir rhety hain is k janazay k sath chalty hain, is par nimaz parhty aur is k dafan mi shareek rehty hain- Agar koi mareez waqt nazah khud ya koi dusra shaks is k pass Surh Yaseen parhay tou rizwane-e-jannat ka seh laab la kr ise daita hy jis se woh seer hor kr peeta hy, wo apni qabar se seerab he uthhay ga aur Nabiyun k kisi khoz ka muhtaj na ho ga, Hatta k wo halat-e-seerabi mi dakhil-e-jannat ho ga, manqool hai k Surh yaseen apne parhnay wale ko dunia-o-akhrat ki bhalai anayat kare gee, qayamat ki holnaki aur dunya ki balaon se is ko bachay ge, neez har sharr ko is se door kare ge, aur is ki har hajat ko bar laye e, Surh Yaseen k parhnay wale k liye 20 Hajj ka sawab hi aur is k sunne wale k liye 1000 noor, 1000 rehmtien aur 1000 barketien hon ge,aur yeh Surh Yaseen is ko har museebat se nijat dilyae ge-
Hazrat Muhammad (PBUH) se marvi hai k jo shakhs qabristan mi Surh Yaseen ki tilwat kary tou Khuda waha madfoon loogon k azab mi kami kary ga aur is ko in murdgan ki tadad k barabr neikiyan ata farmaye ga, Imam Jaffar (A.S) se manqool hai k jo shakhs din k waqt Surh Yaseen parhay wo raat tak mahfooz rhey ga aur rozzie se nawaza jaye a, jo shakhs soony se pehly yeh Surat parhay tou Khuda wand kareem is ko har afat se aur shaitan k shar se bachane k liye is par 1000 firshtay muqqar kre ga aur aar wo isse rozz mar jaye tou Khuda is ko Jannat mi dakhil farmaye ga-

No comments:

Post a Comment