Rizq mi barkat k liye behtreen amal.
Yeh Waqiya aik Saudi naujwan ka hai, yeh apni zindagi se
mutmain nahin tha, is ki salary sirf 4000 A.E.D thei, Married hone ki waja se
is k ikhrajat is ki salary se kahin ziada thy, Month end se pehly he iss ki
salary khatam ho jati aur issy qarz lena parta, yun woh aista aista qarzoon ki
daldal mi doobta ja rha tha, aur is ka yaqin banta ja rha tha k abb iss ki zindagi
issi haal mei he guzry gii, Bawajud kk is ki wife iss k financial position ka bb
khyal karti, lekin Loans k bojj mei tou sanss lena b dashwar hota hy.
Aik din woh apne friends ki mehfil mi gya, wahan iss din aik
aysa dost bii mojud that jo, Sahib-E-Rai admmi tha aur iss nojawan ka kehna tha
ke mei apne iss dost k mashwaroon ko qadar ki niggah se daiktha tha, Kehne
lagga mei ne issy batton he batton mei apni kahani sunai aur apni financial
crises iss k se share kei, iss ne meri bbat suni aur kaha k meri rai yeh hai k
tum apni salary se kuch hissa Sadqa k liye mukhtas kro, iss Saudi nawjawan ne
hairat se kaha: Janab mje ghar k expense poory krne k lia loan lena parta hai
aur aap Sadqa nikalne ka keh rehe hain?
Khair mei ne ghar aa kr sari baat apni B.V ko batai tou B.V
kehne lagii : Experiment krne mei kia harj hai ? May be Allah Kareem tum par
Rizq k Darwazy khool dai.
Kehta hai mei ne monthly 4000 A.E.D mei se 30 A.E.D Sadqa k
liye mukhtas krne ka Irada kia, Aur Month end pe Ada krna surh kr dia,
Iss Shaks ka kehna hy k Qasam kha kr kehta hn meri tou halat
he badal gai, Kaha her waqt financial problems ki tensions mei aur sochon mei
rehta tha aur Kahan abb meri zindagi goya bhool jesi ho gai, Halki phulki
Asaan. Loans k bawajud mei khud ko azad mehsoos krta tha aik aisa mentally
sakun tha k kia bataon, mei ne apni zindgi ko set krna surh kia. Apni salary ko
hisson mi taqseem kia aur yun aisi barkat huei jesy pehly kabi nahi hui thei,
Mei ne calculation kr lei aur mjey andazaa ho gya kk kitni tenure mei Insh
Allah Loans k booj see meri jan choot jai gii.
Phir Allah Kareem ne aik aur rasta khola aur mei ne apne aik
azeez dost k sath iss k property dealing k kam mei hissa lena surh kia, Mei
issy client la kr daita aur mej munasib profit hasil hota.
Alhamdo Lilla! mei jab b kisi client k pass jata woh muje
dossry tk rahnumai zaroor krta, Mei yaha per b wohi amal duhrata k mje jab b
profit milta mei iss mei se Allah k liye Sadqa zaroor nikalta.
Allah ki qasam Sadqa kia hy? Koi nai janta siwaye iss k jiss
ne issy azmaya ho, Sadqa kro, aur sabar se chaloo, Allah ka fazal se
khair-o-barkatein apni ankho se barasty daikho gy. Insh Allah
No comments:
Post a Comment