Monday, 4 July 2011

Ash-Shakur(Sila daine wala):Agar ankhoon mi roshni kam ho gai ho tou ye ism 41 bar pani per parh kr ankhoon per mala jaye tou nigah theak ho jai ge.Agar kisi ranj-o-gham mi mubtila ho ya muash mi tangi ho tou rozana 41 martaba baad Nimaz-e-Fajar 21 roz tak parhin,kamyabi ho ge.

Al-Ali(Oncha):Izat-o-hurmat ki bulandi k liye bacha ko jald taqatwar jawan banane k liye, safar se bakhariat wapsi k liye,hasool-e-dolat k liye is k ilwa degar maqasad k liye is ka taweez bana kr gale mi dala jaye aur 11 din tak yar nimaz k baad jis qadar ho saky is ism ka wird kiya jaye.

Al-Kabir(Bara):Jo shaks is ism ko hamesha baad Nimaz 7 martaba parh liya kary wo har dushmin se mehfooz rhe ga.Har bala aur afat is se door ho ge.Agar koi zehrilla janwar kaat le tou zahir asar na kare ga.

Al-Hafiz(Nigeban):Jo shaks is ism ko kasrat se wazeefa kare aur is ka taweez bana kr gale mi dale tou puri zindgi bekhof rhe ga.Agarcha wo darindon k darmiyan ho ya aag mi ghir gya ho,yahan tak k aseeb-o-jinaat ka b is per koi asar na ho ga.

Al-Muqit(Rozi daine wala):Agar zoza dar per zoza naqabil-e-bardashat ho tou is ism ko matti pe likh kr songha jaye tou qoowat-o-giziat hasal ho ge.Doran safar pani per dam kr k piyen tou pias khatam ho jai ge.

No comments:

Post a Comment