Al-Jalil(Buzurgi wala):Jo shaks is ism ko kasrat se Nimaz k baad partha rhe tou logo k dilon mi is ki haibat paida ho ge.Agar is ka taweez bana kr gale mi dale tou logon mi sahib-e-touqeer ho ga.
Al-Karim(Karam krne wala):Izat-o-Karamat k liye yeh ism behad mugrab hy.Soty waqt is ko parhty parhty so jayen bhout jald asar ho ga.
Ar-Raqib(Nigban):Is ka wird khas kar hifazat-e-hamal k liye hay,maal-o-olad ki hifazat k liye b mugrab hay,Dushmino aur choron k khatrat se b mehfooz rhe ga.
Al-Mujib(Qabool krne wala):Jo shaks is ko parta rhe ga ya is ka taweez gle mi dale tou gumshuda chez wapis mil jaye ge.Agar hamal zaih hone ka khatra ho tou aurat 7 roz tak apne pait pe hath rakh kr 7 martaba parhe InshAllah bacha zaia na ho ga.Agar musafir ki peeth per hath rakh kr 7 martaba parha jaye tou doran-e-safar mehfooz rhe ga.Dua ki qabooliat k liye b is ka wird kiya jaye.
No comments:
Post a Comment