Monday, 4 July 2011

Al-Wasi(Wosat daine wala):Sabar-o-Qanat,mall-o-dolat k hasool k liye yeh is be had mujrib hy.Nimaz-e-Asar k baad khas tor per 100 martaba parha jaye.

Al-Hakeem(Hikmat wala):ILM ki ziadati aur hikmat k darwaze kholne k liye adhi raat mi yeh ism 121 martaba 21 din tak parha jaye.InshAllah kamyabi ho ge aur har museebat se b nijat mile ge.

Al-Wadud(Dosti krne wala):Yeh ism agar 1000 bar khane per parh kr apni bv k sath khana khaye tou mian bivi mi pe panah muhabat ho ge aur sath he Allah aur Rasool(PBUH) ki muhabbat se dil sarshar ho ga.Muhabbat-e-Ilahi ki liye is ka wird zaroor krna chaye.

Al-Majeed(Izat wala):Agar kisi shaks ko Jizam ho jaye tou you ayam-e-baiz yani chand ki 13-14-15 ko roze rakhy aur iftar k baad se musalsal Ya-Majeed ko Nimaz-e-Isha tak partha rhe InshAllah 3 din mi is ka asar daikh le ga.

Al-Ba'ith(Qabar se uthane wala):Jo shaks soty waqt apna hath seene per rakh kr 300 martaba parhe is ka dil ilm-o-hikmat se munawar ho ga.Gunah se nafarat ho ge aur neaki se muhabbat ho ge aur dil saaf ho ga.

No comments:

Post a Comment