A Blog about 99 Names of Allah, Asma ul Husna,Allah k Name ki Fazeelat,Darood Shareef, Nimaz k bad wazaif,Lohe Qurani.

Popular Posts

Powered by Blogger.

Monday, 4 July 2011

Al-Qabiz (Tangi krnei wala): Yeh ism 40 din tak rozana aik tukray per likh kr khaya jaye tou riziq mi kushadge ho ge,aur dard choot,zakham ki takleef mehsoos na ho ge.

Al-Basit (Kushadgi paida krne wala): Nimaz-e-fajar ki dua k baad Ya-Basit 10 martiba parh kr dono hath cheray per phair lia karin.Mohtaji door ho ge.Riziq mi wusat ho ge.

Al-Khafiz (Nicha krni wala): Agar sakhat dushmin se sabiqa par jaiye tou isko kuchlne k liye 7000 martaba yeh ism thori si mitti per dam kr kar dam karain aur dushmin k darwaze per phainkdain dushmin magloob ho ga ya 3 rozy rakh kr 4thy din aik he majlis mi 500 martaba Ya-Hafiz ka wird kary dushmin baraf ki tara pighal jai ga.

Al-Rafi (Bulanad krniwala): Jo shakhs raat mi soty waqt 100 martaba yeh ism pare ga wo har dil aziz ho ga aur roz barooz makhlooq mi is ki izat barthi jaye ge.Afat-o-bala se b mehfooz rhe ga.

Al-Muizz (Izat daine wala): Jo shakhs juma ya hafta ki raat Nimaz-e-Magrib k baad 41 martaba parhe tou makhlooq mi sahib-e-touqeer ho ga,logon k dillon mi is ki haibat paida ho gi.

No comments:

Post a Comment