A Blog about 99 Names of Allah, Asma ul Husna,Allah k Name ki Fazeelat,Darood Shareef, Nimaz k bad wazaif,Lohe Qurani.

Popular Posts

Powered by Blogger.

Monday, 4 July 2011

Al-Latif(Bara barik been):Agar yeh ism bawzu 100 martaba parha jaye tou dili murad puri ho ge.Khas kar kanwari larki ki shadi k liye is ka wazeefa behad mujrib hy.Musalsal 21 roz baad Nimaz-e-Isha bawzu para jaye.Awal aur akhir Darood shareef 3,3 martba parha jaye.

Al-Khabir(Khabir rakhne wala):Jo shaks is ko 7 roz tak pare ga is per purisrar posheeda zahir honge.Momin ki farasat se nawaza jaye ga.Nafas k shar se rehai paye ga,agar kisi mushkil mi ho tou is se nijaat paye ga.

Al-Halim(Burdbar):Jo shaks sanhat-o-harfat khaeti bari mi taraqi chata ho tou is is ko kagiz mi likh kr pani mi ghool dy aur woh pani khait,bagat,auzar etc per charak dy.

Al-Azim(Buzrig):Izat,dolat,sehat k liye aur aftoon se nijat aur bimari se shifa k liye yeh ism 12 martaba kisi b nimaz k baad parin.
Ya-Ghafur(Gunah mitane wala):Bimar ko yeh ism Zafran se kagiz per likh kr 3 din tek pilaya jaye.Agar temperature ho tou 7 martaba roshnai se kagiz pe likh kr mareez k gale mi daal dain shifa ho ge.

No comments:

Post a Comment